Bay nam say sapnay dikhla ker
Aay dil her jaa na phisla ker
Yea dais hai andhay logon ka
Ae chaand yahan na nikla ker
Na dertay hain na nadim hain
Na manain kay wo khadim hain
Yahan ulti ganga behti hai
Is dais main foji hakim hain
Yea raqim saray likhtay hain
Qwaneen yahan na tiktay hain
Hai yahan pay karobar buhat
is dais main gurday biktay hain
Yahan dollar dollar hoti hai
aur G.D.P. kasoti hai
kuch log hain aali shan buhat
aur kuch ka maqsad roti hai
Umeed ko lay ker parhtay hain
Phir Degree lay ker phirtay hain
Jub job na unko milti hai
Phir khudkash hamlay kertay hain
Wo kehtay hain sab acha hai
Aur Foj ka raj he sacha hai
Wo rehri wala kyon yea manay
Bhooka jis ka bacha hai
Yea dais hai andhay logon ka
Ae chaand yahan na nikla ker